Friends ke WhatsApp video status ko kaise download kare

Hello friends filhaal WhatsApp ke new story feature se ab whatsapp par 30 seconds ki demand bahot badh gai hai, aur log tarah tarah ke video status bana rahe hai aur apni story me upload kar rhe hai. lekin jab hame koi achha video pasand aata hai aur hame wo chahiye hota hai to uske liye hame jisne video status upload kiya usko message karna padta hai ki ye video mujhe bhejo, aur usme bahot time lag jaata hai. aaj me aapko ek esi trick btaunga jis ki help se aap apne friends ke whatsapp status video 1 minute se bhi kam time me download kar skte hai to chaliye jaante hai ki Friends ke WhatsApp video status ko kaise download kare

Steps to Follow :

1. Sab se pehle aapke phone me Google Playstore par jaye aur Status Downloader for Whatsapp App download kijiye

2. App ko open kijiye aur Start par click kare. uske baad aapke samne window khulega

3. Us window me Recent Stories likha hua ek Button hoga vaha press kijiye.

4.  Uske baad jo video ya photo aapko download karna he uske niche simple Down Arrow pr click krna hai. Aapka video download hona start ho jayega


To is tarah aap apne friends ka Whatsapp video status download kar skte hain. agar aapko koi bhi question ho ya help chahiye to niche comment box me comment kare. Thanks for reading

Article Achha lage to share zaroor karein.


Friends ke WhatsApp video status ko kaise download kare
Download WhatsApp Video Status



Previous
Next Post »